Friday, February 23, 2007

Sarhad

Reminded of WAR by "Turtles can Fly" thought would also post this small rhyme i once wrote on the same topic...

sarhad par lagi aag ko
lahoo ki varsha se nahin bujhaya jata
suno apne dil ki dhadkan ko
barood se dilon ko nahin milaya jata

kya hua hamare vivek ko
ke ik insaan insaniyat par goli barsata
haansil ho ga kya kisiko
bas ik aur taaboot pahadon se neeche aata

kitni zamein lagti jeene ko
ke koi jag jeetne nikal jata
roko jeetne ki is hoad ko
bas dhara ko lahoo se seencha jata

itihaas gawah hai sacchai ko
ke jung mein koi nahin jeet pata
dekho mahaan ki mahaanta ko
ke kisi aur ki haar par jashn manata

baatenge hum aakhir kis kis ko..
taaron se dilon ko nahin baata jata
kholo dil ke darwajon ko
ke dushman bhi yaar ban jata

dekh hamaari sankeern soch ko
hoga woh ram-raheem bhi sharmata
mitaa do sabhi sarhadon ko

ke pane ko aur kya rah jata

...ME

No comments: