Thursday, March 08, 2007

Laal Syaahi...

Is laal shyaahi se aakhir, likhta toh main kya likhta?
Lakh boonta shabdon ka jaal, par saach saaf dikhta…

Koshish uski thi purzor, dost bane rahne ki
Aankhen band ki thi humne, par nakaab saaf dikhta…

Log pareshaan dikhte the, khoob unhen samjhaya
Khudko samjhaana chaha bahut, par sawaal saaf dikhta…

Hanskar-hansaakar chahat thi, khush rahne ki
Kitne badle aaine ghar ke, par ashque saaf dikhta…

Lamha lamha kat’ta hai, Kat’te lamhon se
Sadiyaan beet chukin hain, par zakhm saaf dikhta…

Kab tak jhaakengi is Lau ko, yeh jar-jar hoti deewaren
Toofan ka kaam tha aasaan, par jaadoo USKA saaf dikhta…

..ME

No comments: